
Main Ustaz Saifullah hoon aur main Quran ke saath saath iska tarjuma aur tafseer bhi parhata hoon. Mera focus students ko Quran samajhne par hota hai, sirf padhne par nahi. Urdu aur English dono languages mein explain karta hoon taake har student asaani se deen ki samajh hasil kar sake. Mera yaqeen hai ke jab insan Quran samajh kar padhta hai to uski zindagi badal jaati hai.